09 May 2017

VIDEO : Ab WhatsApp Ka Message Khud Hi Bolega

Ab WhatsApp Ka Message Khud Hi Bolega : Hello Guys, MH Smart Tech Me Aapka Swagat Hai. Last Post Me Humne Sikha Ki Kaise Aap Apne Android Phone Me Delete Ho Gai Photos, Videos, Data Ko Restore Kar Sakte Hai.

Agar Aapne Ab Tak Wo Post Nahi Padhi Or Aap Abhi Sikhna Chahte Hai Ki Delete Photos, Videos, Ya Data Ko Restore Kaise Kare. To Abhi Yaha Click Kare Aur Wo Post Padhe.

Aaj Ki Is Interesting Post Me Hum Baat Karenge WhatsApp Ke Bare Me. Aaj Hum Aapko Kuch Esi Magic Tricks Bataenge Jiske Baad Aapko Apne WhatsApp Message Ko Padhne Ke Jaroorat Nahi Rahegi. Wo Message Khud Hi Bolne Lagega.

Bs Ye Kare Or Aapka WhatsApp Bolne Lagega.


Aapko Google Play Store Se T2S Naam Ki App Ko Download Kar Ke Use Install Karna Hoga. Install Hojane Ke Baad Aapko Ye App Open Kar Ke Jo Bhi Permission Mange Use Deni Hogi.

Jab Aap T2S App Ko Open Karoge To Aapke Samne Ek Box Aaega Waha Aapko Koi Bhi Text LIkhna Hai Or Niche Diye Gae Play Button Pe Click Karna Hai.

Ye Setting Kare Or Aapka WhatsApp Message Khud Bolega.


Aapko T2S App Me Setting Me Jake Kuchh Changing Karne Hoge. Jab Aap T2S App Ki Setting Me Jaenge To Waha Aapko Speech Language Ka Option Milega. Waha Aapko Apne Language Select Kar Ke OK Kar Dena He.

Uske Niche Aapko Copy to Speak Ka Ek Option Milega Jise Aaapko On Karna Hoga. Baki Setting Ko Aap Koi Change Naa Kare To Behtar He. Uske Baad Aaap T2S App Ko Close Kar De.

Ab Aap WhatsApp Ko Open Kare Or Jo Aap Message Ko Aap Padhna Nahi Chahte Or Aap Chahte Hai Ki Wo Khud Hi Bole. To Bas Aapko Wo Message Select Kar Ke Use Copy Karna Hoga. Jaise Hi Aap Copy Pe Click Karenge Aapke Samne T2S Aap Ka Ek Play Shortcut Aaega. Aap Uspe Click Kare Or Bs Thoda Sa Wait Kare. Fir Wo Message Apne Aap Bolne Lagega. Aapko Bs Wo Sunna He.


Kya Ye Facebook, Ya Browser Me Kaam Karega

Agar Aap Ye Same Process Kahi Par Bhi Karte Hai Agar Wo Facebook Ho Ya Massanger Ho Ya Koi Browser Ho. Aapko Bs Text Select Kar Ke Use Copy Karna Hai. Jaise Hi Aap Copy Karenge Aapke Samne T2S Ka Shortcut Aa Jaega. Aapko Uspe Click Karna Hai Or Wo Bolne Lagega.


VIDEO Dekhe Or Sikhe


Aapko Yaha Di Gai Jaankari Se Samaj Nahi Aaya Ho Ki Ise Kaise Use Karna Hai. To Post Ke Niche Ek Video Di Gai Hai. Aap Use Dekhke Bhi Aasani Se Ye Sab Sikh Sakte Hai.

Agar Video Aapko Pasand Aae Or Helpful Rahe To Video Ko LIKE Jaroor Kare. Or Hamari YouTube Channel Ko  SUBSCRIBE  Karna Naa Bhoole.



08 May 2017

VIDEO : Delete Ho Gai Photos-Videos Ko Aise Kare Restore

Delete Ho Gai Photos-Videos Ko Aise Kare Restore : Hello Guys, MH Smart Tech Me  Aapka Swagat Hai. Humne Last Post Me Sikha Ki Kaise App Apne Koi Bhi Android Phone Me New Android O Install Kar Ke Use Use Kar Sakte Hai.


Agar Aapne Ye Post Ab Tak Nahi Padhi Aur Abhi Use Padhna Chahte Hai To Yaha Click Care.



Aaj Ki Is Interesting Post Me Hum Baat Karenge Apne Phone Se Delete Ho Gai Photos, Videos, Ya Koi Bhi Data Ko Asani Se Recover Kar Sakte Hai.



Delete Ho Gai Photos, Videos, Ya Data Ko Restore Karne Ke Liye Aapko Apne Android Phone Me Google Play Store Se Dumpster Naam Ki Ek App Download Kar Ke Use Apne Phone Me Install Karni Hogi.


Dumpster App Ko Kaise Use Kare ?


Normally Baki App Ki Tarah Ki Dumpster App Ko Bhi Aapko Waise Hi Install Karna Hoga. Install Hojane Ke Baad Aap Jab Pehli Bar Is App Ko Open Karenge To Ye App Aapse Kuchh Permission Mangega. Jo Aapko Deni Hogi.

Permission Dene Ke Baad Ye Aap Apne Android Phone Me Ek Recycle Bin Ki Tarah Kaam Karegi. Permission Dene Ke Baad Ab Koi Bhi Photos, Videos, Ya Koi Bhi Data Aapke Phone Se Agar Delete Ho Bhi Jata Hai To Aap Dumpster App Ko Open Kar Ko Use Wapas Restore Kar Sakte Hai.


Agar Aap Ye Post Se Samaj Nahi Paye Ki Dumpster App Ko Use Kaise Karna He. Aur Usse Delete Hui Photos, Videos, Ya Data Ko Restore Kaise Karna Hai.

To Post Ke Niche Aapko Ek Video Diya Gaya He. Aap Use Dekhke Bhi Ye Sab Sikh Sakte Hai.

Agar Video Helpful Rahe To Hamari YouTube Channel Ko  SUBSCRIBE  Karna Naa Bhoole.



07 May 2017

VIDEO : Aise Kare Koi Bhi Mobile Me Android 'O' Install

Aise Kare Koi Bhi Mobile Me Android 'O' Install : Hello Guys, MH Smart Tech Me Aapka Swagat Hai. Humne Last Post Me Sikha Ki WhatsApp Ko Hack Hone Se Kaise Bachaye ?

Agar Aapne Ye Post Ab Tak Nahi Padhi Or Abhi Ise Padhna Chahte Hai To Yaha Click Kare Aur Wo Post Asani Se Padh Sakte Hai.

Aaj Ki Is Interesting Post Me Hum Baat Karenge Android O' Ke Bareme. Aap Sabhi Ko Pata Hi Hoga Ki Google Ne Android 'O' Ka Officially Update Ko Launch Kar Hi Diya Hai. Lekin Ye Sabhi Android Me Nahi Use Kar Sakte.

Kaise Kare Android 'O' Install ?


Agar Aap Bhi Apne Android Phone Me Android 'O' Ko Install Karna Chahte Hai Aur Uske New Feature Ke Maze Udana Chahte Hai To Yaha Me Aapko Ek Launcher Ke Bare Me Bataunga Jisko Install Karne Ke Baad Aap Bhi Android 'O' Ko Use Kar Sakte Hai.


Pixel Launcher Kya Hai ?

Ye Google Top Developers Ki Taraf Se Launch Kiya Gaya Ek Launcher He. Jise Aap Apne Koi Bhi Android Phone Me Download Aur Install Kar Ke Use Android 'O' Bana Sakte Hai. Ye Launcher Use Karne Me Bohot Easy Aur Safe Hai.

Kaise Kare Pixel Launcher Install ?

Sabse Pehle Aapko Google Play Store Open Karna Hoga. Google Play Store Ke Search Bar Me Aapko Pixel Launcher Likh Ke Search Kar Lena Hai. Jaise Hi Aap Search KArenge, Aapko Pehle Hi Ye Launcher Mil Jaega. Aapko Use Downloadd Kar Ke Install Kar Lena Hai.

Install Karne Me Ye Bilkul Waise Hi Install Karna Hai Jaise Aap Baki App Ko Install Karte Hai. Install Complete Hone Ke Baad Aap Apne Android Phone Ki Home Key Ko Press Kare.
Jaise Hi Aap Apne Android Mobile Ki Home Key Ko Press Karenge Aapke Samne 2 Launcher Aaenge. Aapko Pixel Launcher Ko Select Kar Ke Niche Use Default Launcher Pe check Kar Ke Ok Kar Dena Hoga.

Aap Pixel Launcher Niche Di Gayi Link Pe Jaa Ke Bhi Download Kar Kakte Hai.


Agar Aap Ye Post Padh Ke Samaj Nahi Paa Rahe Ki Kaise Pixal Launcher Ko Use Kar Ke Apne Android Phone Me Android 'O' Use Kare.

To Aap Niche Diye Gaye Video Ko Dekh Ke Bhi Ye Sab Sikh Sakte Hai. Aur Agar Video Aapko Helpful Rahe To Hamari YouTube Channel Ko  SUBSCRIBE  Karna Naa Bhoole.



06 May 2017

VIDEO : WhatsApp Ko Hack Hone Se Kaise Bachaye ?

WhatsApp Ko Hack Hone Se Bachaye : Hello Guys, MH Smart Tech Me Aapka Swagat Hai. Jaise Ki Humne Last Post Me Sikha Ki Kaise Aap WhatsApp Me Alag Stylish Fonts Se Chat Kar Sakte Hai. Aur Agar Aapne Ye Post Ab Tak Nahi Padhi Or Abhi Padhna Chahte Hai To Yaha Click Kare.

Aaj Ki Is Interesting Post Me Hum Baat Karenge WhatsApp Ke Bare Me. Kaise Aap Apne WhatsApp Ko Hack Hone Se Bacha Sakte Hai. Ab Koi Bhi Hackers Aapke WhatsApp Account Ko Hack Nahi Kar Sakega.


Two Step Verification Kya Hai ?

WhatsApp Khud Hi Apne Use Ko Apna WhatsApp Account Hackers Se Safe Rakhne Ke Liye Option De Raha He. To Agar Aap Apne WhatsApp Ko Hackers Se Safe Rakhna Chahte Hai To Two Step Verification Enable Kar De.

Two Step Verification Ko Enable Kaise Kare.


Agar Aap Apne WhatsApp Account Ko Hack Hone Ne Bachana Chahte Hai or Two Step Verification Ko Enable Karna Chahte Hai To Yaha Diye Gaye Step Ko Follow Kare.

• Sabse Pehle Aap Apne WhatsApp Setting Me Jae.

• Setting Me Jane Ke Baad Aapko Jana He Account Setting Me.

• Jab Aap Account Setting Me Jaenge To Waha Pe Aapko Two Step Verification Ka Option Milega. Use Aap Open Kare.

•Jab Aap Two Step Verification Option Ko Open Karenge To Waha Aapko Do Baar 6 Digit Ka Pass Code Dena Hoga.

• Do Baar 6 Digit Pass Code Dene Ke Baad Aapko Email Id Deni Hogi. (Email Id optional He. Kabhi Agar Aap Apne Pass Code Bhool Jae To Recover Karne Me Kaam Aaegi.)
• Uske Baad Aap Enable Ke Button Pe Click Kar Ke Two Step Verification Ko Enable Kar De.


Two Step Verification Ke Fayde



Agar Aap Apne WhatsApp Me Two Step Verification Ko Enable Kar Dete Hai To Uske Baad Aap Jab Bhi WhatsApp Open Karenge Ya Koi Link Directly WhatsApp Se Share Karenge To WhatsApp Aapse Two Step Verification Ka Pass Code Puchega.

To Is Tarah Aapka WhatsApp Secure Ho Jaega. Aur Wahi Aapke WhatsApp Ko Use Kar Sakega Jisse Aapne Apna Pass Code Share Kiya Hoga.

• Agar Aap Ye Post Padhne Ke Baad Samaj Paa Rahe Ki Two Step Verification Ko Kaise Enable Kare. To is Post Ke Niche Ek Video Di Gai He. Aap Video Dekh ke Bhi Ye Sab Sikh Sakte Hai.

Aur Video Agar Aapko Helpful Rahe To Hamari YouTube Channel Ko  Subscribe  Karna Bilkul Bhi Naa Bhoole.



04 May 2017

VIDEO : WhatsApp Me Stylish Fonts Se Chat Kare


WhatsApp Me Stylish Fonts Se Chat Kare : Hello Guys, MH Smart Tech Me Aapka Swagat Hai. Humne Last Post Me Baad Ki WhatsApp Ke Beta Tester (User) Ke Bare Me. Ki Kaise Aap WhatsApp Ke Beta Tester User ban Sakte hai Kaise Aap Sabse Pehle New Update Ya New Feature Ko Use Kar Sakte Hai.

Agar Aapne Ab Tak Wo Post Nahi Padhi Or Aap Us Post Ko Abhi Padhna Chahte Hai To Yaha Click Kare Or Wo Post Padhe.

Aaj Ki Ye Interesting Post Bhi WhatsApp Ke Bare Me Hi He. Aaj Yaha Hum Aapko WhatsApp Ki Ek Tricks Bataenge Jisse Use Karke Aap WhatsApp Me Stylish Font Se Chat Kar Sakte Hai.

Kaise Kare WhatsApp Me Stylish Font Se Chat
WhatsApp Me Stylish Fonts Se Chat Karne Ke Liye Aapko Google Play Store Se Style My Text - Fliptext Naam Ki Application Download Kar Ke Use Install Karna Hoga. Jese Hi Application Install Ho Jae Aap Use Open Kar Le.

Aap Jaise Hi Aap Ko Open Karenge Aapke Samne 2 Box Dikhai Denge 'Converted Text' or 'Enter Text Here' Aapko Jo Bhi Stylish Font Me Type Karna Chahte Hai Use Enter Text Here Box Me Likhna He.

Jaise Hi Aap Type Karenge To Upar Ke 'Converted Text' Box Me Wo Text Convert Ho Jaenge Or Aap Use Waha Se Direct Koi Bho Social Network Pe Share Kar Sakte Hai. Or Agar Chahe To Us Text Ko Aap Copy Bhi Kar Sakte Hai.

Agar Aap Or Bhi Jyada Stylish Font Ka Use Karna Chahte Hai To Aapko Niche Ek Option Milega 'Style My Text' Waha Se Aap Apne Mann Chahe Fonts Ko Koi Bhi WhatsApp Chat Ke Liye Use Kar Sakte Hai.




Agar Aapko Ye Post Se Samaj Nahi Aaya Ho Ki Style My Text - Fliptext App Ko Kaise Use Karna Hai. to Post Ke Niche Ek Video Di Gai Hai Aap Wo Video Dekh Ke Bhi Ye Sab Sikh Sakte Hai.

Agar Video Aapko Helpful Rahe To hamari YouTube Channel Ko  SUBSCRIBE  Karna Naa Bhoole.



03 May 2017

VIDEO : WhatsApp Ke Beta Tester (User) Kaise Bane ? (Hindi)

How To Become A WhatsApp Beta Tester : Hello Guys, MH Smart Tech par aapka swagat hahi. Jese Humne Last Post Me Sikha Ki Kaise Aap WhatsApp Ke New Pin Chat Feature Ko Kaise Use Kare. Agar Aapne Abhi Tak Wo Post Nahi Padhi To Yaha Click Kare Or Wo Post Padh Len.

Aaj Ki Is Interesting Post Me Hum Baat Karenge WhatsApp Ke Beta Tester Ke Bare Me. Kaise Aap WhatsApp Ke Ek Beta Tester User Ban Sakte Hai. Sath Me Hum Ye Bhi Janege Ki WhatsApp Beta Tester User Banne Ke Kya Fayde He.

Kaise Bane WhatsApp Beta Tester User ?


Agar Aap WhatsApp Ke Beta Tester User Banna Chahte Hai To Ye Bilkul Asan Hai. Iske Liye Aapko Sabse Pehle Apne Android Mobile Me Google Play Store Open Karna Hoga. Uske Baad Google Play Store Ke Search Bar Me Aap WhatsApp Type Kar Ke Search Kar Le.

Fir Aap WhatsApp Ko Open Kare. Jaise Hi WhatsApp Open Ho Jae To Aap Scroll Kar Ke Ekdam Niche Chale Jae. Waha Pe Aapko Ek Option Milega You're A Beta Tester Uske Niche Aapko Ek Green Color Ka Yes, I'm in Likha Hua Button Milega Aap Uspe Click Kar De.

Click Karne Ke Baad 20 ya 30 Minute Tak Process Chalegi. Uske Baad Aap WhatsApp Ke Ek Beta Tester Use Ban Jaoge.

Beta Tester User Banne Ke Fayde.


WhatsApp Ke Developer Jab Bhi Koi New Feature Apni App Me Add Karta He To Wo Sabse Pehle Apne Beta Tester User Ko Deta He. Or Agar Usko Us New Feature Ke Reviews Achhe Milte He To Uske Baad Hi Wo Apna New Feature Ya New Update Sabhi User Ko Deta He.

To Ese Me Agar Aap Ek Beta Tester User He To Aapko WhatsApp Ki Koi Bhi New Update Ya New Feature Sabse Pehle Use Karne ko Mil Sakti He.

Koi Bhi New Update Ko Sabse Pehle Use Kare. VIDEO Dekhe


Agar Aapko Yaha Diye Gaye Post Se Samaj Nahi Aaya Ho Ke WhatsApp Ke Beta Tester User Kaise Ban Sakte hai. To Aap Niche Diye Gaye Video Ko Dekh Ke Bhi Ye Asani Se Sikh Sakte Hai.

Agar Video Aapke Liye Helpful Rahe To Hamari YouTube Channel Ko  Subscribe  Karna Naa Bhoole.




VIDEO : WhatsApp New Pin Chat Feature

Hello Guys, Humne Last Post Me Sikha Ki Kaise Aap Apne Android Phone Me Photos, Videos, Apps Ko Hide Kar Sakte hai Ya Use Lock Kar Sakte Hai Taki Aapke Siwa Or Koi Use Dekh Na Sake. Agar Aapne Wo Post Nahi Padhi To Yaha Click Kare Or Abhi Wo Post Padhe.

Aaj Ki Is Interesting Post Me Hum Baat Karenge WhatsApp Ke New Feature Ke Bare Me. WhatsApp Ne Haal Hi Me Nahi Pin Chat Feature Ki Update Add Ki He. Ye New Feature Ke Sath Hi WhatsApp Ko Use Karna Kafi Asaan Ho Gaya He.

Kya He Pin Chat Feature ?

WhatsApp Ke Ye New Pin Chat Feature Ko Use Karna Bohot Hi Asan He. Agar Aapke WhatsApp Me Bohot Jyada Group He, Ya Bohot Jyada Conversation He To Ese Me Aapko Koi Ek Conversation Ya Chat Ko Dhundne Me Kafi Taklif Hogi Or Bohot Scrolling Karne Ke Baad Jake Aapko Wo Chat Ya Conversation Milega.

To Ese Me Aap Koi Chat Ya Conversation Ko WhatsApp Ke Chat Section Me Top Pe Pin Kar Ke Rakh Sakte Hai. Ya Yu Kahe Ki Aap Apne Favorite Chat Ya Group Ko Pin Kar Ke WhatsApp Ke Home Page Me Top Pe Rakh Sakte He. Jisse Aapko Wo Chat Ya Group Ko Scrolling Kar Ke Dhundne Ki Jaroorat Nahi Rahegi.

Kaise Use Kare Pin Chat Feature ?

WhatsApp Ka New Pin Chat Feature Use Karne Ke Liye Aap Ko Koi Bhi Chat Ya Group Jise Aap Pin Kar Ke WhatsApp Ke Home Page Pe Top Pe Rakhna Chahte He. Us Chat Ya Group Pe Aapko Tap & Hold Kar Ke Select Karna Hoga. Jo Bhi Chat Ya Group Ko Pin Karna Chate He Use Select Karne Ke Baad Aapko WhatsApp Ke Upar Ke Hisse Me Ek Pin Ka Icon Milega. Aapko Uspe Bs Ek Click Krni He Or Aapke Jo Bhi Selected Chat Ya Group Hoge Wo Sabhi WhatsApp Ke Home Page Me Top pe Hi Pin Ho Jaege. Or Aap Use Asani Se Use Kar Sakte He.

VIDEO Dekh Ke Sikhe 

Agar Aap Is Post Ko Padhne Ke Baad Bhi Thik Se Samaj Nahi Paa Rahe Ki WhatsApp Pin Chat Feature Ko Use Kaise Karna He. To Aap Post Ke Niche Diye gaye Video Ko Dekh Ke Bhi Sikh Sakte He. Video Pasand Aae To hamari YouTube Channel Ko SUBSCRIBE  Karna Naa Bhoole.