03 May 2017

VIDEO : WhatsApp Ke Beta Tester (User) Kaise Bane ? (Hindi)

How To Become A WhatsApp Beta Tester : Hello Guys, MH Smart Tech par aapka swagat hahi. Jese Humne Last Post Me Sikha Ki Kaise Aap WhatsApp Ke New Pin Chat Feature Ko Kaise Use Kare. Agar Aapne Abhi Tak Wo Post Nahi Padhi To Yaha Click Kare Or Wo Post Padh Len.

Aaj Ki Is Interesting Post Me Hum Baat Karenge WhatsApp Ke Beta Tester Ke Bare Me. Kaise Aap WhatsApp Ke Ek Beta Tester User Ban Sakte Hai. Sath Me Hum Ye Bhi Janege Ki WhatsApp Beta Tester User Banne Ke Kya Fayde He.

Kaise Bane WhatsApp Beta Tester User ?


Agar Aap WhatsApp Ke Beta Tester User Banna Chahte Hai To Ye Bilkul Asan Hai. Iske Liye Aapko Sabse Pehle Apne Android Mobile Me Google Play Store Open Karna Hoga. Uske Baad Google Play Store Ke Search Bar Me Aap WhatsApp Type Kar Ke Search Kar Le.

Fir Aap WhatsApp Ko Open Kare. Jaise Hi WhatsApp Open Ho Jae To Aap Scroll Kar Ke Ekdam Niche Chale Jae. Waha Pe Aapko Ek Option Milega You're A Beta Tester Uske Niche Aapko Ek Green Color Ka Yes, I'm in Likha Hua Button Milega Aap Uspe Click Kar De.

Click Karne Ke Baad 20 ya 30 Minute Tak Process Chalegi. Uske Baad Aap WhatsApp Ke Ek Beta Tester Use Ban Jaoge.

Beta Tester User Banne Ke Fayde.


WhatsApp Ke Developer Jab Bhi Koi New Feature Apni App Me Add Karta He To Wo Sabse Pehle Apne Beta Tester User Ko Deta He. Or Agar Usko Us New Feature Ke Reviews Achhe Milte He To Uske Baad Hi Wo Apna New Feature Ya New Update Sabhi User Ko Deta He.

To Ese Me Agar Aap Ek Beta Tester User He To Aapko WhatsApp Ki Koi Bhi New Update Ya New Feature Sabse Pehle Use Karne ko Mil Sakti He.

Koi Bhi New Update Ko Sabse Pehle Use Kare. VIDEO Dekhe


Agar Aapko Yaha Diye Gaye Post Se Samaj Nahi Aaya Ho Ke WhatsApp Ke Beta Tester User Kaise Ban Sakte hai. To Aap Niche Diye Gaye Video Ko Dekh Ke Bhi Ye Asani Se Sikh Sakte Hai.

Agar Video Aapke Liye Helpful Rahe To Hamari YouTube Channel Ko  Subscribe  Karna Naa Bhoole.