04 January 2017

Kaise Paytm se Bank Account me Payment Transfer Kare ?

Sikhie : Kaise apne paytm account se dusre ke bank account me payment transfer kare ? - Learn How to Transfer Money Paytm to Any Bank Account


How to tarasfer payment Paytm to Any Bank account paytm se bank account me paise kaise transfer karte hai easy steps
Learn about Paytm Money Send Method

Payment Transfer Paytm to Bank Account Method in Hindi : Hello friends, MHSmartTech me aapka swagat hai. Meri last post me hamne jana tha ki kaise Redmi ke MIUI 8 model or anya models me latest or stylish fonts add kar sakte hai or 402 / 406 error ko kaise solve kar sakte hai. agar aapne us post ko detail me nhi padha to aap use yahan Redmi MIUI 8 me Fonts Kaise Add Karen ? Or 402 - 406 Error Kaise Solve Karen bhi padh sakte hai 

Aaj ki is post me ham janenge ki kaise apne Paytm se kisi bhi bank account me payment transfer karte hai.

Iske lie aapka apna Paytm account hona jaruri hai. Or wo account aap apne smartphone me ek application install krke bhi bna sakte hai.

Agar aapke smartphone me Paytm ki application nhi hai to aap yahan klik kar ke abhi install kar sakte hai.

To chalie ab baat karte hai payment transfer ki. Agar aapka pahle se hi Paytm user hai to aapko pahle apne smartphone me Paytm ki application open karni hai.

Uske bad aapko ek option dikhai dega jiska nam " passbook " hoga. Is option pr click krte hi aapke smartphone screen par puri detail aa jaegi ki hamne kaun kaun se transaction kiye hue hai. Or hmari payment balance bhi show hogi.

Sikhie : Kaise apne paytm account se dusre ke bank account me payment transfer kare ? - Learn How to Transfer Money Paytm to Any Bank Account
" Passbook " option in Paytm android app


Yahan pr ek or option dikhai pdega jiska nam hai " Send Money to Bank " is par click karte hi hame ek or option " Transfer " ke naam ka dikhai pdega.

Transfer pe click krne ke bad ek dialogue box open hoga jisme hame sabse pahle amount ki detail daalni hogi ki ham kitni amount bank account me transfer krna chahte hai.

Sikhie : Kaise apne paytm account se dusre ke bank account me payment transfer kare ? - Learn How to Transfer Money Paytm to Any Bank Account
Choose how much Money you want to send via Paytm


Uske baad upr screenshot me dikhai gai detail ki jagah ko correct detail se bharni pdegi.

Sab correct detail add krne ke bad jab ham Send button par click karenge to aapko Sent Successfully to (Bank Account Holder ka Naam) ka message dikhai dega. Iska matlab ki aapka payment bank account me jama ho chuka hai.


Sikhie : Kaise apne paytm account se dusre ke bank account me payment transfer kare ? - Learn How to Transfer Money Paytm to Any Bank Account
Fill the following detail 


Agar us bank holders ne bank dvara provide hone wali SMS alert service active karwai hogi to payment milte hi uske phone me payment received hone ka SMS bhi aa jaega.

Friends, ye to thi apne Paytm se dusre ke bank accout me payment transfer krne ke simple steps. Agar aapko ye post achchi or useful lagi ho to aap ise apne dosto ke sath bhi share kar sakte hai.

Agar aapko ye steps samjne me koi dikkat ho rahi ho to aap is video ko dekh kar bhi samaz sakte hai.

Paytm to Bank Money Transfer Method in Hindi





Thanks for read our How to Transfer Money Paytm to Any Bank Account - (Kaise apne paytm account se dusre ke bank account me payment transfer kare ?