09 May 2017

VIDEO : Ab WhatsApp Ka Message Khud Hi Bolega

Ab WhatsApp Ka Message Khud Hi Bolega : Hello Guys, MH Smart Tech Me Aapka Swagat Hai. Last Post Me Humne Sikha Ki Kaise Aap Apne Android Phone Me Delete Ho Gai Photos, Videos, Data Ko Restore Kar Sakte Hai.

Agar Aapne Ab Tak Wo Post Nahi Padhi Or Aap Abhi Sikhna Chahte Hai Ki Delete Photos, Videos, Ya Data Ko Restore Kaise Kare. To Abhi Yaha Click Kare Aur Wo Post Padhe.

Aaj Ki Is Interesting Post Me Hum Baat Karenge WhatsApp Ke Bare Me. Aaj Hum Aapko Kuch Esi Magic Tricks Bataenge Jiske Baad Aapko Apne WhatsApp Message Ko Padhne Ke Jaroorat Nahi Rahegi. Wo Message Khud Hi Bolne Lagega.

Bs Ye Kare Or Aapka WhatsApp Bolne Lagega.


Aapko Google Play Store Se T2S Naam Ki App Ko Download Kar Ke Use Install Karna Hoga. Install Hojane Ke Baad Aapko Ye App Open Kar Ke Jo Bhi Permission Mange Use Deni Hogi.

Jab Aap T2S App Ko Open Karoge To Aapke Samne Ek Box Aaega Waha Aapko Koi Bhi Text LIkhna Hai Or Niche Diye Gae Play Button Pe Click Karna Hai.

Ye Setting Kare Or Aapka WhatsApp Message Khud Bolega.


Aapko T2S App Me Setting Me Jake Kuchh Changing Karne Hoge. Jab Aap T2S App Ki Setting Me Jaenge To Waha Aapko Speech Language Ka Option Milega. Waha Aapko Apne Language Select Kar Ke OK Kar Dena He.

Uske Niche Aapko Copy to Speak Ka Ek Option Milega Jise Aaapko On Karna Hoga. Baki Setting Ko Aap Koi Change Naa Kare To Behtar He. Uske Baad Aaap T2S App Ko Close Kar De.

Ab Aap WhatsApp Ko Open Kare Or Jo Aap Message Ko Aap Padhna Nahi Chahte Or Aap Chahte Hai Ki Wo Khud Hi Bole. To Bas Aapko Wo Message Select Kar Ke Use Copy Karna Hoga. Jaise Hi Aap Copy Pe Click Karenge Aapke Samne T2S Aap Ka Ek Play Shortcut Aaega. Aap Uspe Click Kare Or Bs Thoda Sa Wait Kare. Fir Wo Message Apne Aap Bolne Lagega. Aapko Bs Wo Sunna He.


Kya Ye Facebook, Ya Browser Me Kaam Karega

Agar Aap Ye Same Process Kahi Par Bhi Karte Hai Agar Wo Facebook Ho Ya Massanger Ho Ya Koi Browser Ho. Aapko Bs Text Select Kar Ke Use Copy Karna Hai. Jaise Hi Aap Copy Karenge Aapke Samne T2S Ka Shortcut Aa Jaega. Aapko Uspe Click Karna Hai Or Wo Bolne Lagega.


VIDEO Dekhe Or Sikhe


Aapko Yaha Di Gai Jaankari Se Samaj Nahi Aaya Ho Ki Ise Kaise Use Karna Hai. To Post Ke Niche Ek Video Di Gai Hai. Aap Use Dekhke Bhi Aasani Se Ye Sab Sikh Sakte Hai.

Agar Video Aapko Pasand Aae Or Helpful Rahe To Video Ko LIKE Jaroor Kare. Or Hamari YouTube Channel Ko  SUBSCRIBE  Karna Naa Bhoole.



Popular Posts