08 May 2017

VIDEO : Delete Ho Gai Photos-Videos Ko Aise Kare Restore

Delete Ho Gai Photos-Videos Ko Aise Kare Restore : Hello Guys, MH Smart Tech Me  Aapka Swagat Hai. Humne Last Post Me Sikha Ki Kaise App Apne Koi Bhi Android Phone Me New Android O Install Kar Ke Use Use Kar Sakte Hai.


Agar Aapne Ye Post Ab Tak Nahi Padhi Aur Abhi Use Padhna Chahte Hai To Yaha Click Care.



Aaj Ki Is Interesting Post Me Hum Baat Karenge Apne Phone Se Delete Ho Gai Photos, Videos, Ya Koi Bhi Data Ko Asani Se Recover Kar Sakte Hai.



Delete Ho Gai Photos, Videos, Ya Data Ko Restore Karne Ke Liye Aapko Apne Android Phone Me Google Play Store Se Dumpster Naam Ki Ek App Download Kar Ke Use Apne Phone Me Install Karni Hogi.


Dumpster App Ko Kaise Use Kare ?


Normally Baki App Ki Tarah Ki Dumpster App Ko Bhi Aapko Waise Hi Install Karna Hoga. Install Hojane Ke Baad Aap Jab Pehli Bar Is App Ko Open Karenge To Ye App Aapse Kuchh Permission Mangega. Jo Aapko Deni Hogi.

Permission Dene Ke Baad Ye Aap Apne Android Phone Me Ek Recycle Bin Ki Tarah Kaam Karegi. Permission Dene Ke Baad Ab Koi Bhi Photos, Videos, Ya Koi Bhi Data Aapke Phone Se Agar Delete Ho Bhi Jata Hai To Aap Dumpster App Ko Open Kar Ko Use Wapas Restore Kar Sakte Hai.


Agar Aap Ye Post Se Samaj Nahi Paye Ki Dumpster App Ko Use Kaise Karna He. Aur Usse Delete Hui Photos, Videos, Ya Data Ko Restore Kaise Karna Hai.

To Post Ke Niche Aapko Ek Video Diya Gaya He. Aap Use Dekhke Bhi Ye Sab Sikh Sakte Hai.

Agar Video Helpful Rahe To Hamari YouTube Channel Ko  SUBSCRIBE  Karna Naa Bhoole.



Popular Posts